Shadab
February 22nd, 2011, 12:41 AM
Divorce ke baad bachchoo ki feeling.........
maa,maa kahan ho tum
kahan ho tum maa
kabse pukaar raha hun
kabse raah dekh raha hun
mujhe chhodkar tum kahan chali gayi
aisa lagta hai meri parchhayi hi chali gayi
har vaqt vaqt ka ehsaas nahi hota mujhe
har vaqt vaqt apna ehsaas nahi karata mujhe
maa tumhi to ek meri apni thi jisse main baat karta tha
tumhi to ek meri apni thi maa main jiske paas rahta tha
tumhi to meri ek apni thi jo naraaz ho jaye to kuch bhi acha nahi lagta tha
maa tumhari haan tumhari vajah se hi to main khud apne paas bhi rahta tha
dada dadi pyaar karte hain mujhe nana nani bhi aate rahte hain
aap aur papa alag ho chuke janta hun main par wo samjhate rahte hain
saara din ache se kat jata hai maa
kai baar tujhe bin yaad kie din kat jata hai maa
papa aate hain to mere saath khoob khelte hain
der se bhi aate hain to mere paas aake haalchaal lete hain
main unki majboori samajhta hun aur vo bhi samjhte hain
kabhi kabhi vo mujhe khilate khilate tumhe yaad bhi karte hain
main jaanta hun unhe kaam ke silsile me aksar bahar rahna padta hai
phir bhi saara din ghar par hi rahte jab bhi chhutti ka din hota hai
bahar jaate bhi hain to ghar par call kar meri khabar lete rahte hain
main kuch khaya ya nahi school se aaya ya nahi poochte rahte hain
school se bhi main maa time par hi ghar aa jata hun
apna homework kar thoda, khelkar so jata hun
lekin maa din jaisa bhi jaye raat bin tujhe yaad kare nahi kat.ti
thaka hara hoke agar jaldi so bhi jaaun raat me neend hai khul jati
maa phir tumhari bahut yaad aati hai bahut mujhe tadpaati hai
band aakhon me tu dikhti bahte aasuon me teri lori sunai deti hai
maa main kaise tujhe apne in lamhon ka dard sunaaun
raat aane ke dar se maa main shaam se hi ghabraaun
maa aap aur papa kyun alag ho gaye?
maa aap aur papa kaise alag ho gaye?
so kabhi bhi divorce ka khyal apne mann mei na laye.